Monday, 4 March 2013

Khamosh lab hai jhuki hai palke, dilo me ulfat nayi nayi hai. Abhi taklluf hai guftgu me, abhi mohobat nayi nayi hai. Abhi na aayegi nind tumko abhi na hamko suku milega, abhi to dhadke ka dil jyada abhi ye chahat nayi nayi hai.

Khamosh lab hai jhuki hai palke, 
dilo me ulfat nayi nayi hai. 
Abhi taklluf hai guftgu me, 
abhi mohobat nayi nayi hai. 
Abhi na aayegi nind tumko abhi na 
hamko suku milega, 
abhi to dhadke ka dil jyada abhi ye 
chahat nayi nayi hai. 
Bahar ka aaj pahla din hai chalo 
chaman me tahlke aaye, 
faza me khushbu nayi nayi hai gulo 
pe rangat nayi nayi hai. 
Jo khandani rahis hai wo mijaz 
rakhte hai narm apna, 
tumhara lahja bata raha hai 
tumhari doulat nayi nayi hai. 
Jara sa kudarat ne kya nawaza ke 
aake baithe ho pahli saf me, 
abhi se udne lage hawa me abhi to 
shohrat nayi nayi hai. 
Bamo ki barsat ho rahi purane 
janbaz so rahe hai, 
Gulam duniya ko kar raha hai wo 
jiski takat nayi nayi hai....!

37 comments:

Hasnat Tariq Usuf said...

Urdu ki ma behan kr dete hain ap Indians waese! let me correct it in proper urdu pronunciation:

"Khamosh lab hain jhuki hain palke,
dilo me ulfat nayi nayi hai.
Abhi taklluf hai guftgu me,
abhi mohobat nayi nayi hai.
Abhi na aayegi neend tumko
abhi na hamko sakoon milega,
abhi to dharkay ka dil zyada
abhi ye chahat nayi nayi hai."

Anonymous said...

Aur aap Pakistani insaniyat ki maa bahen kar dete hai..

Atif Aqeel said...

or Pakistani urdu ki asi tesi kr dete hain,
pehle apni urdu durust kre HAsnat Tariq Usaf

Unknown said...

its in pure urdu...and only pakistani can undertand pure urdu;;;;;
Khamosh lab hain jhuki hain palkeen, dilon me ulfat nayi nayi hai.
Abhi takalluf hai guftgoo men, abhi mohobat nayi nayi hai.

Abhi na aayegi nend tumko abhi na hamko sukon milyga,
abhi to dhadky ka dil zeyada abhi ye chahat nayi nayi hai.

Bahar ka aaj pahla din hay , chalo chaman me tehL k aayen
faza me khushboo nayi nayi hai , gulon pe rangat nayi nayi hai.

Jo khandani raees hain wo mizaaj rakhty hai narm apna,
tumhara lehja bata raha hai , tumhari doulat nayi nayi hai.

zara sa Qudarat ne kya nawaza , aa k baithy ho pehli saff me,
abhi se urrny lagy hawa men , abhi to shohrat nayi nayi hai.

Bamo ki barsat ho rahi purane janbaz so rahy hain,
Ghulam duniya ko kar raha hai , wo jiski taQat nayi nayi hai....!

mohammad taskeen said...

Shoban Zaki aur Hasnat Tariq Saheb jahan tak mujhe maloom hai ke Urdu Pakistan mei sabse acchi Karachi mei boli jati hai. aur shayad ye aapko maloom nahi ke Karachi mei Muhajir jyada rahte hai.. abb ye Muhajir Hindustan se hi aye hai, na ki America se !!
kahne ko to ye bhi kah sakte hai ke Pakistan ko Urdu dene wale bhi Hindustani hi hai, Kyunki Urdu Pakistan mei nahi Hindustan ke Lucknow mei janmi hai.. Urdu jab sirf Urdu mei likhi jaye tab hi sahi likhi jati hai, warna sabka tarika alag alag hota jab Urdu ko Roman-English mei likhte hai..

Unknown said...

May I know the bahar of this gazal

Unknown said...

May I know the bahar of this gazal

Atif Aqeel said...

what do you mean manisha joshi?

Unknown said...

Manisha its a season of floweer

Unknown said...

Finally, kisi ne achi urdu likhi.

Unknown said...

Its shabeena adeeb's ghazal. And bahar is a season, means "spring"

Unknown said...

Yeah baat indians ki nahi, india mein boht si languages hain jiski waja se log apne apne lehje mein urdu bolte hain. Urdu ki mother tou lucknow hai, uska kya muqaabla. And urdu ko woi sab se acha pronounce kr skte hain, ya punjabi log acha bol skte hain urdu

Anonymous said...

Hahaha. Bht aala. Im a Pakistani but i liked your answer. Cant stop laughing

Anonymous said...

I think she is asking about beher or meter of the ghazal

Anonymous said...

"Aur aap Pakistani insaniyat ki maa bahen kar dete hai.."
I was talking about this one :p

Unknown said...

Language kaisi bhi ho Samjh to Aa rahi hai baat-baat main Indian Pakistani ki insult kyu ji .galiya to sabhi nikalte hai lekin koi samjhta nahi ki galti kyu hui hai

Unknown said...

Taskeen sahab. Sab se ghatya karachi ma boli jati hai. Muhajer aap logon ne MQM ko berhawa diya howa hai. Warna koi chaker nai. Sare pakistan ma urdu parahi aur likhai jati hai. Population ke lehaz se punjab phir bara hai.
Aur sind ma 2 city hai. Karachi aur haiderabad. Punjab ma lahore. Faisalabad. Multan. Sailkot. Gujraat. Rawalpindi.

Anonymous said...

Jo khandani raees hain wo mizaaj rakhty hai narm apna,
tumhara lehja bata raha hai , tumhari doulat nayi nayi hai.

For all those who are fighting.

Unknown said...

WO Jo sadiyo purana mulk he...itna bantkr b kitna chup he...
Diye krodo unhe basar ko, gispethi Ki lat nhi gyi he...

Pka pkaya Mila h fal pr...khana na Jane to kese khaye
Taj o takht ki smj kha h...mili hukmt nyi nyi he...

giri said...

Kya baat kadhi hai Devendra....
Bye the way stop fighting... Ye behetareen ghazal kharab mat kariye. With all due respect to both India 🇮🇳and pakistan 🇵🇰. Love you all

giri said...

Best reply ever 👍👍👍.
Love ❤️ you both 🇮🇳and 🇵🇰

Atif Aqeel said...

Abu Mind your language, that is what your parents teach you? that is what your religion teach you?
Apne baap se bhi aise hi bat krte ho?

Dilu Sinha said...

Pakistani or hindustani please tell us name of poet/ shahara

Anonymous said...

It was Mir Amman (1750-1837) who first presumed Urdu was born that way. In his preface to ‘Bagh-o-Bahar’ (1802), he wrote that Mughal emperor Shah Jahan (who reigned between 1628 and 1658) made Delhi his capital and named its bazaar ‘Urdu-e-moalla’.

Anonymous said...

Anonymous seems to be a wonderful human being.. A beautiful soul

Kalaoom said...

Nice words form poets
And dont fight on pak and india
Plz make clear study on the topic and than start fighting
Ahel-e- alim ki nishani hai woh khamosh rahty hain

Anonymous said...

Itna lad liye sab, kisi ko ye nahi soojha ki Shabeena Adeeb kahan ki hain?

Unknown said...

Hi everyone my name is Ahsan and I'm from Pakistan,I've read all the comments from top to bottom about the poet and the poetry but I'm very much sad about the comments which were given by both the countries.Like your country is this and that,as a Pakistani we're very much patriot about our country so does the Indians.So one thing I must say for both the youths that leave that Indian and Pakistani fight it has created a lot of difference amoung both the countries.The blood of Pakistan is also red like the Indians remember that thanks and I apologize to the people if I've said any harsh or hard word.

Gautam Sharma said...

Qazi Miyan kiski ghazal farma rahe hain aap ye?

Unknown said...

Kyu lad rh ho bhai bhashao ko leke....hamare yha to hindi or urdu dono ko sagi bahan mana jata hai....kumar viswas ji ne bhi likha tha ki
Ye urdu bazm hai or me to hindi maa k jaya hu
Jubaane mulk ki bahne hai ye pegam laya hu
Mujhe dugni mohabbat se suno urdu juban walo
Me apni maa ka beta hu me ghar mosi ke aaya hu....

Anonymous said...

Zanaab Hasnat Tariq Usuf sahab,
Aapka Urdu ke prati prem/lagaaw beshaq Qabil-E-Tareef hai lekin huzoor Urdu kee shaan mein ghustakhiyaan to aap se bhee huee hain. Adab aur adeebon kee is zubaan ko pyaar hum naacheez bhee utna hee karte hain jitna ki aap lekin hum is maamle mein pyaar tak hee rah gaye aap ke maanind ghuroor kee had tak naa jaa sake iska malaal hamein zaraa bhi nahin hai kyonki humein hamaree khaalaa "Urdu" ne narmee aur adab hee sikhaayaa hai.

"Khamosh lab hain jhuki hain palke (palken),
dilo (dilon) me ulfat nayi nayi hai.
Abhi taklluf (taqalluf) hai guftgu (ghuftaghoo) me (mein),
abhi mohobat nayi nayi hai.
Abhi na aayegi neend tumko
abhi na hamko sakoon milega,
abhi to dharkay (dhadke) ka (ga) dil zyada
abhi ye chahat nayi nayi hai."

Ghustakhee maaf.
Aapka apna:
Sumit Kumar Singh

Anonymous said...

Guys kyu ladh rahe ho..gazal padho feel karo enjoy karo...

Anonymous said...

Urdu hindi ye galat wo sahi hai aap galat sahi hai bol bol kar sari Gazal ka maza khrab kar diya aap sab hadh hoti hai haiisko kwhtay hai


be-his-o-harakat 
बेहिस-ओ-हरकत 
بے_حس_و_حرکت

Ibrahim Ujjainwala said...

This is not your original writing. Please dit take the credit for it

संजय अग्निहोत्री said...

Shayara ka naam
Mohataraema Shabeena Adeeb

Sad Ghazal'z said...

Oh guys whats going on? by the way i want to share some ghalaz's to here like it?

Khamosh lab hain jhuki hain palken

Best Urdu Sad Poetry Picture Image Photes
New Love Poetry For Lovers 2020 Romantic Love poetry And Shayries
Ghazal's

Unknown said...

Ab tawaif b ishq k asool btanay lagi